
Lahre kabhi pyar bankar barsegi
To kabhi tufan bankar
Kabhi bujhaengi tarasti dharti ki pyas
Kabhi karegi vinash!
Lahre kabhi degi majhi ko sahara
Kabhi to dubaengi kasti
Kabhi palengi majhi ke ghar pariwar ko
Kabhi anath bhi to karegi ghar ke baccho ko
Lahre kabhi hogi shayar ke shabdo me khas
Kabhi to hogi ankho ke pass
Kbhi shayri me ghulkar jaengi dil tak
Kabhi nayno se behkar karengi ye ruksat
Lahre kabhi mujh tak to aengi
Kabhi to main tha sahil jo uska
Kabhi to mujh tak aai jo ijhare mohabbat sahi
Kabhi to na aai jo sahil nahi bas ek kinara hi sahi!
Written by: Azam Khan
nice bro
ReplyDeletekhud likhi hai
main inhe publish karwaunga bas mera press start ho jaane do